Apne Blog Se Paise Kaise Kamaye

Blogging ek bohot bhadia saadhan hai jisse aap logo se jud sakte hai aur apni baat keh sakte hai. Jaisa ki maine apne pichle article me bhi kaha agar aap logo ko koi value ki cheeze dete hai tabhi log aapko paisa denge. 2015 me blogging sirf ek apne vichar share karne ka ya kisi ko kuch sikhane ka madhyam hi nahi reh gaya hai. Aaj ke time me ek acche blog se ek achi income kar sakte hai. Hum me se bohot logo ko AdSense ke baare me pata hai, lekin internet par bohot se aise tarike hai jo aapko AdSense se bhi acche paise de sakte hai. In tariko ko use karne ke baad aapko sirf AdSense par hi nirbhar nahi rehna padega. Is article me mai aapko kuch aise tarike batauga jinse aap Internet ke madhyam se apne blog ko paisa kamane ke liye monetize kar sakte ho. Internet se paise kamane ke kuch asaan tarike : Google adsense purana tarika hai lekin ab bhi ye jadtar advertising platform se achi income deta hai, ye un logo ke liye bohot acha hai jinhone naya blog khola hai. Aap Google s...